Wednesday, April 14, 2010

Quick Management Lesson

Ek din ek kutta jungle main raasta kho gaya . Tabhi usane dekha ek sher
uskii taraf aa raha hai. Kutte ki saans rookh gayi. "Aaj to kaam tamaam
mera!" usne socha. Phir usne saamane kuchh sookhi haddiyan padi dekhi. Woh
aate hue sher ki taraf peeth kar ke baith gaya aur ek sookhi hadii ko
choosane laga aur zor zor se bolne laga, "wah! Sher ko khaane ka maza hi
kuchh aur hai. Ek aur mil jaaye to poori daawat ho jayegi!" Aur usne zor
se dakaar mara. Is bar sher jhatkaa laga. Usne socha "ye kutta to
sher ka shikar karta hai! Jaan bacha kara bhago!" Aur sher wahan se
champat ho gaya .

Ped par baitha ek Bandar yeh sab tamasha dekh raha tha.. Usne socha yeh
mauka achha hai sher ko sari kahani bata deta hoon - sher se dosti ho
jayegi aur usase zindagi bhar ke liye jaan ka khatra dur ho jayega. Woh
phataphat sher ke pichhe bhaga. Kutte ne Bandar ko jaate hue dekh liya aur
samajh gaya ki koi locha hai. Udhar Bandar ne sher ko sab bata diya ki
kaise kutte ne use bewakoof banaya hai. Sher zor se dahada, "chal mere
sath abhi uski leela kahatam karta hu" aur Bandar ko apani peeth par
baitha kar sher kutte ki taraf lapka..



Can u imagine the quick management by the DOG......... .......... ...
.
.
.
.
.
.
.
.
.



Kutte ne sher ko aate dekha to ek bar phir uskii taraf peeth karke baith
gaya aur zor zor se bolne laga, "Is Bandar ko bhej ke 1 ghanta ho gaya,
saala ek sher phaans kar nahi la sakta!"

No comments:

Post a Comment